Tirgi Shama Bani Rahguzar Mein Aai
tirgi shama bani rahguzar mein aai
saat ek aisi bhi kal apne safar mein aai
jis jagah chehra hi meyar-e-wafa Thahra hai
KHak hi KHak wahan dast-e-hunar mein aai
teri nazron mein thi duniya to yahi kya kam tha
hashr ye hai ki tu duniya ki nazar mein aai
bar-ha yaron ne sahil se kaha tha hum hain
bar-ha naw magar apni bhanwar mein aai
zindagi samjhun ise ya ki ise maut kahun
wo jo mehman ki surat mere ghar mein aai
yun bhi tariKH ki tariKH raqam hoti hai
nikli tariKH mahal se to khanDar mein aai
KHwab hi KHwab ki tabir hua to jaana
zindagi kyun kisi aankhon ke asar mein aai
shama jalte hi bujhi aur dhuan aisa uTha
lazzat-e-sham yahan KHwab-e-sahar mein aai
zindagi kuchh hai 'ata' sher-o-adab hai kuchh aur
ye do-rangi ki waba kaisi hunar mein aai
(898) Peoples Rate This