Sar Pe Suraj Ho Magar Saya Na Ho Aisa Na Tha
sar pe suraj ho magar saya na ho aisa na tha
pahle bhi tanha tha lekin is qadar tanha na tha
wo to ye kahiye gham-e-dauran ne rakh li aabru
warna dil ki baat thi kuchh khel bachchon ka na tha
bach ke tufan se nikal aaya to hairani hai kyun
go safina Dubta tha hausla TuTa na tha
aap aae to yaqin karna paDa warna yahan
raat ko suraj kabhi aflak par nikla na tha
shahr-e-dilli aaina-KHana hai lekin ai 'ata'
jal to KHush-fahmiyon ka aap ko bunna na tha
(813) Peoples Rate This