Pas-e-diwar Hujjat Kis Liye Hai
pas-e-diwar hujjat kis liye hai
dariche se ye wahshat kis liye hai
na main apna na main tera hun duniya
to phir jine ki hasrat kis liye hai
agar sud o ziyan ke hum hain qael
junun se apni qurbat kis liye hai
jafa hi jab teri pahchan Thahri
wafa mein mujh ko lazzat kis liye hai
meri aankhon pe jo pahra hai tera
to aaine se raghbat kis liye hai
KHud apne ghar mein hai jab ajnabi to
mere bhai ye shohrat kis liye hai
safar mein jab na tere kaam aae
zara ye soch daulat kis liye hai
adab hi zindagi mein jab na aaya
adab mein itni mehnat kis liye hai
nikal aae hain diwaron pe chehre
tasawwur ki ye jiddat kis liye hai
mera aaina hai jab tera chehra
to phir duniya ki hairat kis liye hai
KHamoshi hai jawab-e-jahilan jab
zaban jaisi ye neamat kis liye hai
hai duniya ka jawaz is amr hi mein
jahannam kyun hai jannat kis liye hai
khile hain phul sahra mein wa-lekin
mujhe ghar mein ye farhat kis liye hai
nahin waqif hai dil isar se jab
'ata' izhaar-e-ulfat kis liye hai
(915) Peoples Rate This