Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ea60788250754c99fbe99522feee6c77, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Koi Bhi KHush Nahin Hai Is KHabar Se - Ata Abidi Poetry In English - Darsaal

Koi Bhi KHush Nahin Hai Is KHabar Se

koi bhi KHush nahin hai is KHabar se

ki duniya jald lauTegi safar se

main sahra mein safina dekhta hun

samundar koi guzra hai idhar se

sambhaalo apna harf-e-dad-o-tahsin

main kab hun mutmain arz-e-hunar se

KHata hai ye jawaz apni KHata ka

KHataen hoti rahti hain bashar se

sabhon mein KHamiyan hi dekhta hai

wo hai mahrum kya husn-e-nazar se

ghazab ka aaega sailab yaro

ki guzra hai bahut sa pani sar se

bulandi itni bhi achchhi nahin hai

utaro ab 'ata' ko dar par se

(862) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Bhi KHush Nahin Hai Is KHabar Se In English By Famous Poet Ata Abidi. Koi Bhi KHush Nahin Hai Is KHabar Se is written by Ata Abidi. Read famous Poem Koi Bhi KHush Nahin Hai Is KHabar Se for youth and Student by Ata Abidi. Free Download Koi Bhi KHush Nahin Hai Is KHabar Se in PDF.