Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9005ebef37ff38fc4fefdb584d377ac7, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kuchh To Mayus Dil Tere Bas Mein Bhi Hai - Asrarul Haq Asrar Poetry In English - Darsaal

Kuchh To Mayus Dil Tere Bas Mein Bhi Hai

kuchh to mayus dil tere bas mein bhi hai

zindagi ka hunar KHar-o-KHas mein bhi hai

aap ka jo irada ho kah dijiye

dil abhi kuchh meri dastaras mein bhi hai

teri marzi se main mangta hun tujhe

mera kirdar meri hawas mein bhi hai

aa ki TuTe talluq ko phir joD len

tere bas mein bhi hai mere bas mein bhi hai

shahr-e-gul mein bhi hain lakh pabandiyan

aur aazadi-e-jaan qafas mein bhi hai

ho saliqa to phir aadmi ke liye

wusat-e-zindagi ek nafas mein bhi hai

dekhiye dil ka 'asrar' kya hashr ho

us ki aamadgi pesh-o-pas mein bhi hai

(804) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh To Mayus Dil Tere Bas Mein Bhi Hai In English By Famous Poet Asrarul Haq Asrar. Kuchh To Mayus Dil Tere Bas Mein Bhi Hai is written by Asrarul Haq Asrar. Read famous Poem Kuchh To Mayus Dil Tere Bas Mein Bhi Hai for youth and Student by Asrarul Haq Asrar. Free Download Kuchh To Mayus Dil Tere Bas Mein Bhi Hai in PDF.