Wo ShaKHs Jo Nazar Aata Tha Har Kisi Ki Tarah
wo shaKHs jo nazar aata tha har kisi ki tarah
hisar toD ke nikla hai raushni ki tarah
sada mein Dhal ke labon tak jo harf aaya tha
ab us ka zahr bhi Dasta hai KHamushi ki tarah
ye sal tul-e-masafat se chur chur gaya
ye ek sal to guzra hai ek sadi ki tarah
tumhi koi shajar-e-saya-dar DhunD rakho
ki wo to apne liye bhi hai ajnabi ki tarah
ye ahd TuT raha hai nae ufuq ke liye
hayat Dal chuki hai KHud-agahi ki tarah
(1027) Peoples Rate This