Rabta TuT Na Jae Kahin KHud-bini Se
rabta TuT na jae kahin KHud-bini se
dil laraz uTTha hai mahaul ki sangini se
hausla hai to sarabon mein utar kar dekho
zinda rahna to ibarat hai KHush-aini se
ab sar-e-aKHir-e-shab lae ho suraj ki KHabar
yun tamasha na karo subh ki rangini se
na burudat thi na hiddat thi ajab mausam tha
choT khaya kiye hum apni hi kaj-bini se
aankh pathrai hui aur zaban gung ki jab
zarf miTTi ke bane aur badan chini se
dard talKHaba-e-ehsas mein zam ho ke raha
qatl-gah paT gai alfaz ki shirini se
samne aa ke jo wo hath milae to sahi
mujh ko haul aata hai us shaKHs ki miskini se
(1563) Peoples Rate This