Raushni Ke Silsile KHwabon Mein Dhal Kar Rah Gae
raushni ke silsile KHwabon mein Dhal kar rah gae
jitne manzar the sarabon mein badal kar rah gae
shoabde hi shoabde phir taliyan hi taliyan
hum hi nadan the khilaunon se bahal kar rah gae
dekhte hi dekhte bazar KHali ho gaya
log apni hi sadaon se dahal kar rah gae
wo tamazat thi ki jangal bhi dhuan dene lage
lahlahate khet kya sae bhi jal kar rah gae
lafz gunge to na the par baat adhuri rah gai
tazkire kitne zabanon par machal kar rah gae
(1435) Peoples Rate This