Yun Paband-e-salasil Ho Kar Kaun Phire Bazaron Mein
yun paband-e-salasil ho kar kaun phire bazaron mein
KHud hi qaid na ho jaen kyun apni hi diwaron mein
raat ke lamhon ki sangini dil ko Dasti rahti hai
jism sulagta rahta hai tanhai ke angaron mein
raushniyon ke shahr andheron ke jadu mein Dub gae
bujhne lagi ho nur ki mashal jaise chand-sitaron mein
dard ke tapte sahra mein ek aabla-pa sar-gardan hai
tum ko kya tum jashn manao KHushiyon ke gahwaron mein
main koi suqraat na tha jo zahr ka pyala pi jata
main KHud kaise Dub sakunga apne lahu ki dhaaron mein
shahr ki rahen raqs-kunan hain rang faza mein bikhra hai
kitne chehre saje hue hain in chamkili caron mein
(1420) Peoples Rate This