Kuchh Tujhko KHabar Hai Hum Kya Kya Ai Shorish-e-dauran Bhul Gae
kuchh tujh ko KHabar hai hum kya kya ai shorish-e-dauran bhul gae
wo zulf-e-pareshan bhul gae wo dida-e-giryan bhul gae
ai shauq-e-nazara kya kahiye nazron mein koi surat hi nahin
ai zauq-e-tasawwur kya kije hum surat-e-jaanan bhul gae
ab gul se nazar milti hi nahin ab dil ki kali khilti hi nahin
ai fasl-e-bahaaran ruKHsat ho hum lutf-e-bahaaran bhul gae
sab ka to mudawa kar Dala apna hi mudawa kar na sake
sab ke to gareban si Dale apna hi gareban bhul gae
ye apni wafa ka aalam hai ab un ki jafa ko kya kahiye
ek nishtar zahr-agin rakh kar nazdik-e-rag-e-jaan bhul gae
(1297) Peoples Rate This