KHud Dil Mein Rah Ke Aankh Se Parda Kare Koi
KHud dil mein rah ke aankh se parda kare koi
han lutf jab hai pa ke bhi DhunDa kare koi
tum ne to hukm-e-tark-e-tamanna suna diya
kis dil se aah tark-e-tamanna kare koi
duniya laraz gai dil-e-hirman-nasib ki
is tarah saz-e-aish na chheDa kare koi
mujh ko ye aarzu wo uThaen naqab KHud
un ko ye intizar taqaza kare koi
rangini-e-naqab mein gum ho gai nazar
kya be-hijabiyon ka taqaza kare koi
ya to kisi ko jurat-e-didar hi na ho
ya phir meri nigah se dekha kare koi
hoti hai is mein husn ki tauhin ai 'majaz'
itna na ahl-e-ishq ko ruswa kare koi
(927) Peoples Rate This