Izn-e-KHiram Lete Hue Aasman Se Hum
izn-e-KHiram lete hue aasman se hum
haT kar chale hain rahguzar-e-karwan se hum
kya puchhte ho jhumte aae kahan se hum
pi kar uThe hain KHum-kada-e-asman se hum
kyunkar hua hai fash zamane pe kya kahen
wo raaz-e-dil jo kah na sake raaz-dan se hum
hamdam yahi hai rahguzar-e-yar-e-KHush-KHiram
guzre hain lakh bar isi kahkashan se hum
kya kya hua hai hum se junun mein na puchhiye
uljhe kabhi zamin se kabhi aasman se hum
har nargis-e-jamil ne maKHmur kar diya
pi kar uThe sharab har ek bostan se hum
Thukra diye hain aql o KHirad ke sanam-kade
ghabra chuke the kashmakash-e-imtihan se hum
dekhenge hum bhi kaun hai sajda taraaz-e-shauq
le sar uTha rahe hain tere aastan se hum
baKHshi hain hum ko ishq ne wo juraten 'majaz'
Darte nahin siyasat-e-ahl-e-jahan se hum
(1192) Peoples Rate This