Shikwa-e-muKHtasar
mujhe shikwa nahin duniya ki un zohra-jabinon se
hui jin se na mere shauq-e-ruswa ki pazirai
mujhe shikwa nahin un pak baatin nukta-chinon se
lab-e-mojiz-numa ne jin ke mujh par aag barsai
mujhe shikwa nahin tahzib ke un pasbanon se
na lene di jinhon ne fitrat-e-shair ko angDai
mujhe shikwa nahin dair-o-haram ke aastanon se
wo jin ke dar pe ki hai muddaton main ne jabin-sai
mujhe shikwa nahin uftadagan-e-aish-o-ishrat se
wo jin ko mere haal-e-zar par aksar hansi aai
mujhe shikwa nahin un sahiban-e-jah-o-sarwat se
nahin aati mere hissa mein jin ki ek bhi pai
zamane ke nizam-e-zang-aluda se shikwa hai
qawanin-e-kuhan aain-e-farsuda se shikwa hai
(850) Peoples Rate This