Shauq-e-gurezan
dair o kaba ka main nahin qael
dair o kaba ko aastan na bana
mujh mein tu ruh-e-sarmadi mat phunk
raunaq-e-bazm-e-arifan na bana
dasht-e-zulmat mein bhaTakne de
meri rahon ko kahkashan na bana
ishrat-e-jahl-o-tirgi mat chhin
mahram-e-raaz-e-do-jahan na bana
bijliyon se jahan na ho chashmak
us gulistan mein aashiyan na bana
KHar-e-chashm-e-harif rahne de
hirz-e-bazu-e-dostan na bana
meri KHud-biniyan na le mujh se
jalwa-afroz-e-mahwishan na bana
dil-e-sad-para-ehawadis ko
taKHta-e-mashq-e-gul-ruKHan na bana
meri KHuddariyon ka KHun na kar
mutrib-e-bazm-e-dil-baran na bana
mah-o-anjum se mujh ko kya nisbat
mujh ko in ka mizaj-dan na bana
jis ko apni KHabar nahin rahti
us ko salar-e-karwan na bana
meri jaanib nigah-e-lutf na kar
gham ko is darja kaamran na bana
is zamin ko zamin hi rahne de
is zamin ko tu aasman na bana
meri hasti niyaz-o-shauq sahi
is ko unwan-e-dastan na bana
raaz tera chhapa nahin sakta
tu mujhe apna raaz-dan na bana
(881) Peoples Rate This