Sharare
KHud ko bahlana tha aaKHir KHud ko bahlata raha
main ba-in soz-e-darun hansta raha gata raha
mujh ko ehsas-e-fareb-e-rang-o-bu hota raha
main magar phir bhi fareb-e-rang-o-bu khata raha
meri duniya-e-wafa mein kya se kya hone laga
ek daricha band mujh par ek wa hone laga
ek nigar-e-naz ki phirne lagin aankhen 'majaz'
ek but-e-kafir ka dil dard-ashna hone laga
ain hangam-e-tarab ruh-e-tarab tharra gai
dafatan dil ke ufuq par ek ghaTa si chha gai
ek aaghosh-e-tamanna ka taqaza dekh kar
ek dil ki sard-mehri bhi mujhe yaad aa gai
mujrim-e-sartabi-e-husn-e-jawan ho jaiye
gul-fishani ta-kuja shola-fishan ho jaiye
khaiega ek nigah-e-lutf ka kab tak fareb
koi afsana bana kar bad-guman ho jaiye
(1004) Peoples Rate This