Sham-e-rah-guzar
zist be-iKHtiyar guzri hai
jun nasim-e-bahaar guzri hai
dil mein barpa qayamaten karti
nigah-e-sharmsar guzri hai
saghar o saz dur hi rakhiye
warna yun bhi bahaar guzri hai
zamzama-sanj o zarfishan nikhat
phir saba par sawar guzri hai
kya guzargah hai mohabbat ki
KHud-ba-KHud bar bar guzri hai
ek dur-e-shahwar-e-sad-bustan
phir lab-e-juebar guzri hai
hae shirini-e-lab-e-lalin
muskuraati bahaar guzri hai
wae tufan-e-sina-e-simin
duKHtar-e-kohsar guzri hai
zindagi ki jamil rahon se
KHud ajal sharmsar guzri hai
(818) Peoples Rate This