Saneha
dard-o-gham-e-hayat ka darman chala gaya
wo KHizr-e-asr-o-isa-e-dauran chala gaya
hindu chala gaya na musalman chala gaya
insan ki justuju mein ek insan chala gaya
raqsan chala gaya na ghazal-KHwan chala gaya
soz-o-gudaz o dard mein ghaltan chala gaya
barham hai zulf-e-kufr to iman sar-nigun
wo faKHr-e-kufr o nazish-e-iman chala gaya
bimar zindagi ki kare kaun dil-dahi
nabbaz o chaarasaz-e-marizan chala gaya
kis ki nazar paDegi ab isyan pe lutf ki
wo mahram-e-nazakat-e-isyan chala gaya
wo raaz-dar-er-mahfil-e-yaran nahin raha
wo gham-gusar-e-bazm-e-arifan chala gaya
ab kafiri mein rasm-o-rah-e-dilbari nahin
iman ki baat ye hai ki iman chala gaya
ek be-KHud-e-surur-e-dil-o-jaan nahin raha
ek aashiq-e-sadaqat-e-pinhan chala gaya
ba-chashm-e-nam hai aaj zuleKHa-e-kaenat
zindan-shikan wo yusuf-e-zindan chala gaya
ai aarzu wo chashma-e-haiwan na kar talash
zulmat se wo chashma-e-haiwan chala gaya
ab sang-o-KHisht o KHak o KHazaf sar-buland hain
taj-e-watan ka lal-e-daraKHshan chala gaya
ab ahrman ke hath mein hai tegh-e-KHun-chakan
KHush hai ki dast-o-bazu-e-yazdan chala gaya
dew-e-badi se mark-e-saKHt hi sahi
ye to nahin ki zor-e-jawanan chala gaya
kya ahl-e-dil mein jazba-e-ghairat nahin raha
kya azm-e-sar-faroshi-e-mardan chala gaya
kya baghiyon ki aatish-e-dil sard ho gai
kya sarkashon ka jazba-e-pinhan chala gaya
kya wo junun-o-jazba-e-bedar mar gaya
kya wo shabab-e-hashr-badaman chala gaya
KHush hai badi jo dam ye neki pe Dal ke
rakh denge hum badi ka kaleja nikal ke
(1289) Peoples Rate This