Nau-jawan Se

jalal-e-atish-o-barq-o-sahab paida kar

ajal bhi kanp uThe wo shabab paida kar

tere KHiram mein hai zalzalon ka raaz nihan

har ek gam par ek inqalab paida kar

sada-e-tisha-e-mazdur hai tera naghma

tu sang-o-KHisht se chang-o-rubab paida kar

bahut latif hai ai dost tegh ka bosa

yahi hai jaan-e-jahan is mein aab paida kar

tere qadam pe nazar aae mahfil-e-anjum

wo bankpan wo achhuta shabab paida kar

tera shabab amanat hai sari duniya ki

tu KHar-zar-e-jahan mein gulab paida kar

sukun-e-KHab hai be-dast-o-pa zaifi ka

tu iztirab hai KHud iztirab paida kar

na dekh zohd ki tu ismat-e-gunah-alud

gunah mein fitrat-e-ismat-maab paida kar

tere jilau mein nai jannaten nae dozaKH

nai jazaen anokhe azab paida kar

sharab khinchi hai sab ne gharib ke KHun se

tu ab amir ke KHun se sharab paida kar

gira de qasr-e-tamaddun ki ek fareb hai ye

uTha de rasm-e-mohabbat azab paida kar

jo ho sake hamein pamal kar ke aage baDh

jo ho sake to hamara jawab paida kar

bahe zamin pe jo mera lahu to gham mat kar

isi zamin se mahakte gulab paida kar

tu inqalab ki aamad ka intizar na kar

jo ho sake to abhi inqalab paida kar

(1072) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nau-jawan Se In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Nau-jawan Se is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Nau-jawan Se for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Nau-jawan Se in PDF.