Nau-jawan KHatun Se
hijab-e-fitna-parwar ab uTha leti to achchha tha
KHud apne husn ko parda bana leti to achchha tha
teri nichi nazar KHud teri ismat ki muhafiz hai
tu is nashtar ki tezi aazma leti to achchha tha
teri chin-e-jabin KHud ek saza qanun-e-fitrat mein
isi shamshir se kar-e-saza leti to achchha tha
ye tera zard ruKH ye KHushk lab ye wahm ye wahshat
tu apne sar se ye baadal haTa leti to achchha tha
dil-e-majruh ko majruh-tar karne se kya hasil
tu aansu ponchh kar ab muskura leti to achchha tha
tere zer-e-nagin ghar ho mahal ho qasr ho kuchh ho
main ye kahta hun tu arz-o-sama leti to achchha tha
agar KHalwat mein tu ne sar uThaya bhi to kya hasil
bhari mahfil mein aakar sar jhuka leti to achchha tha
tere mathe ka Tika mard ki qismat ka tara hai
agar tu saz-e-bedari uTha leti to achchha tha
ayan hain dushmanon ke KHanjaron par KHun ke dhabbe
unhen tu rang-e-ariz se mila leti to achchha tha
sananen khinch li hain sar-phire baghi jawanon ne
tu saman-e-jarahat ab uTha leti to achchha tha
tere mathe pe ye aanchal bahut hi KHub hai lekin
tu is aanchal se ek parcham bana leti to achchha tha
(1691) Peoples Rate This