Nanhi Pujaran
ek nannhi munni si pujaran
patli banhen patli gardan
bhor bhae mandir aai hai
aai nahin hai man lai hai
waqt se pahle jag uThi hai
nind abhi aankhon mein bhari hai
ThoDi tak laT aai hui hai
yunhi si lahrai hui hai
aankhon mein taron ki chamak hai
mukhDe pe chandi ki jhalak hai
kaisi sundar hai kya kahiye
nannhi si ek sita kahiye
dhup chaDhe tara chamka hai
patthar par ek phul khila hai
chand ka TukDa phul ki Dali
kam-sin sidhi bholi bhaali
hath mein pital ki thaali hai
kan mein chandi ki baali hai
dil mein lekin dhyan nahin hai
puja ka kuchh gyan nahin hai
kaisi bholi chhat dekh rahi hai
man baDh kar chuTki leti hai
chupke chupke hans deti hai
hansna rona us ka mazhab
us ko puja se kya matlab
KHud to aai hai mandir mein
man us ka hai guDiya-ghar mein
(1185) Peoples Rate This