Mujhe Jaana Hai Ek Din
mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aaKHir
abhi phir dard Tapkega meri aawaz se aaKHir
abhi phir aag uTThegi shikasta saz se aaKHir
mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aaKHir
abhi to husn ke pairon pe hai jabr-e-hina-bandi
abhi hai ishq par aain-e-farsuda ki pabandi
abhi hawi hai aql o ruh par jhuTi KHudawandi
mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aaKHir
abhi tahzib-e-adl-o-haq ki kashti khe nahin sakti
abhi ye zindagi dad-e-sadaqat de nahin sakti
abhi insaniyat daulat se Takkar le nahin sakti
mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aaKHir
abhi to kaenat auham ka ek kar-KHana hai
abhi dhoka haqiqat hai haqiqat ek fasana hai
abhi to zindagi ko zindagi kar ke dikhana hai
mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aaKHir
abhi hain shahr ki tarik galiyan muntazir meri
abhi hai ek hasin tahrik-e-tufan muntazir meri
abhi shayad hai ek zanjir-e-zindan muntazir meri
mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aaKHir
abhi to faqa-kash insan se aanhken milana hai
abhi jhulse hue chehron pe ashk-e-KHun bahana hai
abhi pamal-e-jaur aadam ko sine se lagana hai
mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aaKHir
abhi har dushman-e-nazm-e-kuhan ke git gana hai
abhi har lashkar-e-zulmat-shikan ke git gana hai
abhi KHud sarfaroshan-e-watan ke git gana hai
mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aaKHir
koi dam mein hayat-e-nau ka phir parcham uThata hun
ba-ima-e-hamiyyat jaan ki bazi lagata hun
main jaunga main jaunga main jata hun mein jata hun
mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aaKHir
(983) Peoples Rate This