Mehman
aaj ki raat aur baqi hai
kal to jaana hi hai safar pe mujhe
zindagi muntazir hai munh phaDe
zindagi KHak o KHun mein luthDi
aankh mein shoala-ha-e-tund liye
do ghaDi KHud ko shadman kar len
aaj ki raat aur baqi hai
chalne hi ko hai ek sumum abhi
raqs-farma hai ruh-e-barbaadi
barbariyat ke karwanon se
zalzale mein hai sina-e-giti
zauq-e-pinhan ko kaamran kar len
aaj ki raat aur baqi hai
ek paimana-e-mai-e-sarjosh
lutf-e-guftar garmi-e-aghosh
bose is darja aatishin bose
phunk Dalen jo meri kisht-e-hosh
ruh yaKH-basta hai tapan kar len
aaj ki raat aur baqi hai
ek do aur saghar-e-sarshaar
phir to hona hi hai mujhe hoshiyar
chheDna hi hai saz-e-zist mujhe
aag barsaenge lab-e-guftar
kuchh tabiat to hum rawan kar len
aaj ki raat aur baqi hai
phir kahan ye hasin suhani raat
ye faraghat ye kaif ke lamhat
kuchh to aasudgi-e-zauq-e-nihan
kuchh to taskin-e-shorish-e-jazbaat
aaj ki raat jawedan kar len
aaj ki raat aur aaj ki raat
(923) Peoples Rate This