Madam
zulf ki chhanw mein aariz ki tab-o-tab liye
lab pe afsun liye aankhon mein mai-e-nab liye
har nafas rau mein liye sorish-e-tughyan-e-nihan
har nazar shauq ka afsana-e-b-tab liye
sehr o ejaz liye jumbish-e-mizhgan-e-daraaz
KHanda-e-shoKh jamal-e-dur-e-KHush-ab liye
zau-fagan ru-e-hasin par shab-e-mahtab-e-shabab
chashm-e-maKHmur nashat-e-shab-e-mahtab liye
nashsha-e-naz jawani mein sharabor ada
jism zauq-e-guhar atlas-o-kamKHwab liye
zulf-e-shab-rang liye sandal o ud o ambar
KHam-e-abru-e-hasin dair ki mehrab liye
lab-e-gul-rang-o-hasin jism gudaz-o-simin
shoKHi-e-barq liye larzish-e-simab liye
ek sayyaad-e-KHush-andam swad-e-mashriq
zulf-e-bangal liye talat-e-punjab liye
nuzhat o naz ka ek paikar-e-shadab-o-hasin
nikhat-o-nur ka umDa hua sailab liye
meri waraftagi-e-shauq musallam lekin
kis ki aankhen hain zuleKHa ka hasin KHwab liye
(1058) Peoples Rate This