KHwab-e-sahar
mahr sadiyon se chamakta hi raha aflak par
raat hi tari rahi insan ke idrak par
aql ke maidan mein zulmat ka Dera hi raha
dil mein tariki dimaghon mein andhera hi raha
ek na ek mazhab ki sai-e-KHam bhi hoti rahi
ahl-e-dil par barish-e-ilham bhi hoti rahi
aasmanon se farishte bhi utarte hi rahe
nek bande bhi KHuda ka kaam karte hi rahe
ibn-e-maryam bhi uThe musi-e-imran bhi uThe
ram o gautam bhi uThe firaun o haman bhi uThe
ahl-e-saif uThte rahe ahl-e-kitab aate rahe
in janab uThte aur aan-janab aate rahe
hukmaran dil par rahe sadiyon talak asnam bhi
abr-e-rahmat ban ke chhaya dahr par islam bhi
masjidon mein maulwi KHutbe sunate hi rahe
mandiron mein barhaman ashlok gate hi rahe
aadmi minnat-kash-e-arbab-e-irfan hi raha
dard-e-insani magar mahrum-e-darman hi raha
ek na ek dar par jabin-e-shauq ghisti hi rahi
aadamiyyat zulm ki chakki mein pasti hi rahi
rahbari jari rahi paighambari jari rahi
din ke parde mein jang-e-zargari jari rahi
ahl-e-baatin ilm se sinon ko garmate rahe
jahl ke tarik sae hath phailate rahe
ye musalsal aafaten ye yorish ye qatl-e-am
aadmi kab tak rahe auham-e-baatil ka ghulam
zehan-e-insani ne ab auham ke zulmat mein
zindagi ki saKHt tufani andheri raat mein
kuchh nahin to kam se kam KHwab-e-sahar dekha to hai
jis taraf dekha na tha ab tak udhar dekha to hai
(1511) Peoples Rate This