Idhar Bhi Aa
ye johd-o-kashmakash ye KHarosh-e-jahan bhi dekh
adbar ki, saron pe ghani badliyan bhi dekh
ye top ye tufang ye tegh o sinan bhi dekh
o kushta-e-nigar-e-dil-ara idhar bhi aa
aa, aur bigul ka naghma-e-jaan-afrin bhi sun
aa, be-kason ka nala-e-andoh-gin bhi sun
aa, baghiyon ka zamzama-e-atishin bhi sun
o mast-e-saz-o-barbat-o-naghma idhar bhi aa
taqdir kuchh ho, kawish-e-tadbir bhi to hai
taKHrib ke libas mein tamir bhi to hai
zulmat ke hijab mein tanwir bhi to hai
aa muntazir hai ishrat-e-farda idhar bhi aa
(982) Peoples Rate This