Hamara JhanDa
sher hain chalte hain darraate hue
baadalon ki tarah manDlate hue
zindagi ki ragni gate hue
aaj jhanDa hai hamare hath mein
hum wo hain jo be-ruKHi karte nahin
hum wo hain jo maut se Darte nahin
hum wo hain jo mar ke bhi marte nahin
aaj jhanDa hai hamare hath mein
chain se mahlon mein hum rahte nahin
aish ki ganga mein hum bahte nahin
bhed dushman se kabhi kahte nahin
aaj jhanDa hai hamare hath mein
jaante hain ek lashkar aaega
top dikhla kar hamein dhamkaega
par ye jhanDa bhi yunhi lahraega
aaj jhanDa hai hamare hath mein
kab bhala dhamki se ghabraate hain hum
dil mein jo hota hai kah jate hain hum
aasman hilta hai jab gate hain hum
aaj jhanDa hai hamare hath mein
lakh lashkar aaen kab hilte hain hum
aandhiyon mein jang ki khilte hain hum
maut se hans kar gale milte hain hum
aaj jhanDa hai hamare hath mein
(962) Peoples Rate This