Gurez
ye ja kar koi bazm-e-KHuban mein kah do
ki ab dar-KHor-e-bazm-e-KHuban nahin main
mubarak tumhein qasr-o-aiwan tumhaare
wo dil-dada-e-qasr-o-aiwan nahin main
jawani bhi sarkash mohabbat bhi sarkash
wo zindani-e-zulf-e-pechan nahin main
taDap meri fitrat taDapta hun lekin
wo zaKHmi-e-paikan-e-mizhgan nahin main
dhaDakta hai dil ab bhi raaton ko lekin
wo nauha-gar-e-dard-e-hijran nahin main
ba-in tishna-kaami ba-in talKH-kaami
rahin-e-lab-e-shakkar-afshan nahin main
sharab o shabistan ka mara hun lekin
wo gharq-e-sharab-e-shabistan nahin main
qasam nutq ki shoala-afshaniyon ki
ki shaer to hun ab ghazal-KHwan nahin main
(889) Peoples Rate This