Ek Jila-watan Ki Wapsi
phir KHabar garm hai wo jaan-e-watan aata hai
phir wo zindani-e-zindan-e-watan aata hai
wo KHarab-e-gul-o-raihan-e-watan aata hai
misr se yusuf-e-kanan-e-watan aata hai
koi mashuq ba-sad-shaukat-o-naz aata hai
surKH bairaq hai samundar mein jahaz aata hai
rind-e-be-kaif ko thi baada-o-saghar ki talash
nazir-e-manzar-e-fitrat ko thi manzar ki talash
ek bhanwre ko KHizan mein thi gul-e-tar ki talash
KHud sanam-KHana-e-azar ko thi aazar ki talash
muzhda ai dost ki wo jaan-e-bahaar aa pahuncha!
apne daman mein liye barq-o-sharar aa pahuncha!
apna parcham wo kuchh is andaz se lahraata hai
rang aghyar ke chehron se uDa jata hai
koi shadan, koi hairan, koi sharmata hai
kaun ye sahil-e-mashriq pe nazar aata hai
apne maiKHane ka ek mai-kash-e-behaal hai ye
han wahi mard-e-jawan-baKHt o jawan-sal hai ye
mard-e-sarkash tujhe aadam ki kahani ki qasam
ruh-e-insan ke taqaza-e-nihani ki qasam
jazba-e-aish ki har shorish-e-fani ki qasam
tujh ko apni isi bad-mast jawani ki qasam
aa ki ek bar gale se to laga len tujh ko
apne aaghosh-e-mohabbat mein uTha len tujh ko
nutq to ab bhi hai par shola-fishan hai ki nahin
soz-e-pinhan se teri ruh tapan hai ki nahin
tujh pe ye bar ghulami ka giran hai ki nahin
jism mein KHun jawani ka rawan hai ki nahin
aur agar hai to phir aa tere parastar hain hum
jins-e-azadi-e-insan ke KHaridar hain hum
saqi o rind tere hain mai-e-gulfam teri
uTh ki aasuda hai phir hasrat-e-nakaam teri
barhaman tere hain kul millat-e-islam teri
subh-e-kashi tiri, sangam ki hasin sham teri
dekh shamshir hai ye saz hai ye jam hai ye
tu jo shamshir uTha le to baDa kaam hai ye
dekh badla nazar aata hai gulistan ka saman
saghar o saz na le, jang ke nare hain yahan
ye duaen hain wo mazlum ki aahon ka dhuan
mail-e-jang nazar aata hai har mard-e-jawan
sarfaroshan-e-bala-kash ka sahaara ban ja
uTh aur aflak-e-baghawat ka sitara ban ja
(1340) Peoples Rate This