Aaj
kar-farma phir mera zauq-e-ghazal-KHwani hai aaj
phir nafas ka saz-e-garm-e-shoala-afshani hai aaj
phir nigah-e-shauq ki garmi hai aur ru-e-nigar
phir araq-alud ek kafir ki peshani hai aaj
phir mere lab par qaside hain lab-o-ruKHsar ke
phir kisi chehre pe tabani si tabani hai aaj
husn is darja nashat-e-husn mein Duba hua
ankhDiyan be-KHud shamim-e-zulf diwani hai aaj
larzish-e-lab mein sharab-o-sher ka tufan hai
jumbish-e-mizhgan mein afsun-e-ghazal-KHwani hai aaj
wo nafas ki zamzama-sanji nazar ki guftugu
sina-e-masum mein ik-tarfa tughyani hai aaj
yan ba-in aalim ghurur-e-yusufiyat bhi nahin
wan zuleKHai ba-azm-e-chaak-damani hai aaj
wan ishaare hain bahak jaana hi aish-e-hosh hai
hosh mein rahna yaqinan saKHt nadani hai aaj
kashmakash si kashmakash mein hai mazaq-e-ashiqi
kaamran si kaamran har sai-e-imkani hai aaj
husn ke chehre pe hai nur-e-sadaqat ki damak
ishq ke sar par kulah-e-faKHr-e-insani hai aaj
shauq se mauqa-shanasi ki tawaqqo bhi ghalat
main ne un ki shakl bhi mushkil se pahchani hai aaj
(897) Peoples Rate This