Ye Tirgi-e-shab Hi Kuchh Subh-taraaz Aati
ye tirgi-e-shab hi kuchh subh-taraaz aati
KHud wada-e-farda ki chhati bhi dhaDak jati
honTon pe hansi paiham aate hue sharmati
ab raat nahin kaTti ab nind nahin aati
jo awwal o aaKHir tha wo awwal o aaKHir hai
main nala-ba-jaan uThta wo naghma-ba-saz aati
soz-e-shab-e-hijran phir soz-e-shab-e-hijran hai
shabnam ba-mizha uThti ya zulf-e-daraaz aati
ya-rab wo jawani bhi kya mahshar-e-arman thi
angDai bhi jab leti ek aankh jhapak jati
aaghaz-e-siyah-masti anjam-e-siyah-masti
aaine mein surat bhi aane ki qasam khati
sine mein 'majaz' ab tak wo jazba-e-kafir tha
taslis ki joinda wahdat ki qasam khati
(875) Peoples Rate This