Ye Jahan Bargah-e-ritl-giran Hai Saqi
ye jahan bargah-e-ritl-giran hai saqi
ek jahannam mere sine mein tapan hai saqi
jis ne barbaad kiya mail-e-fariyaad kiya
wo mohabbat abhi is dil mein jawan hai saqi
ek din aadam o hawwa bhi kiye the paida
wo uKHuwwat teri mahfil mein kahan hai saqi
har chaman daman-e-gul-rang hai KHun-e-dil se
har taraf shewan-o-fariyaad-o-fughan hai saqi
mah o anjum mere ashkon se guhar-tab hue
kahkashan nur ki ek ju-e-rawan hai saqi
husn hi husn hai jis samt bhi uThti hai nazar
kitna pur-kaif ye manzar ye saman hai saqi
zamzama saz ka pael ki chhanake ki tarah
behtar-az-shorish-e-naqus-o-azan hai saqi
mere har lafz mein betab mera shor-e-darun
meri har sans mohabbat ka dhuan hai saqi
(982) Peoples Rate This