Wo Naqab Aap Se UTh Jae To Kuchh Dur Nahin
wo naqab aap se uTh jae to kuchh dur nahin
warna meri nigah-e-shauq bhi majbur nahin
KHatir-e-ahl-e-nazar husn ko manzur nahin
is mein kuchh teri KHata dida-e-mahjur nahin
lakh chhupte ho magar chhup ke bhi mastur nahin
tum ajab chiz ho nazdik nahin dur nahin
jurat-e-arz pe wo kuchh nahin kahte lekin
har ada se ye Tapakta hai ki manzur nahin
dil dhaDak uThta hai KHud apni hi har aahaT par
ab qadam manzil-e-jaanan se bahut dur nahin
hae wo waqt ki jab be-piye mad-hoshi thi
hae ye waqt ki ab pi ke bhi maKHmur nahin
husn hi husn hai jis samt uThata hun nazar
ab yahan tur nahin barq-e-sar-e-tur nahin
dekh sakta hun jo aankhon se wo kafi hai 'majaz'
ahl-e-irfan ki nawazish mujhe manzur nahin
(822) Peoples Rate This