Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3a22499b712f812c52e48715a583238e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Shauq Ke Hathon Ai Dil-e-muztar Kya Hona Hai Kya Hoga - Asrar-ul-Haq Majaz Poetry In English - Darsaal

Shauq Ke Hathon Ai Dil-e-muztar Kya Hona Hai Kya Hoga

shauq ke hathon ai dil-e-muztar kya hona hai kya hoga

ishq to ruswa ho hi chuka hai husn bhi kya ruswa hoga

husn ki bazm-e-KHas mein ja kar is se ziyaada kya hoga

koi naya paiman bandhenge koi naya wada hoga

chaaragari sar aankhon par is chaaragari se kya hoga

dard ki apni aap dawa hai tum se kya achchha hoga

waiz-e-sada-lauh se kah do chhoDe uqba ki baaten

is duniya mein kya rakkha hai is duniya mein kya hoga

tum bhi 'majaz' insan ho aaKHir lakh chhupao ishq apna

ye bhed magar khul jaega ye raaz magar ifsha hoga

(815) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shauq Ke Hathon Ai Dil-e-muztar Kya Hona Hai Kya Hoga In English By Famous Poet Asrar-ul-Haq Majaz. Shauq Ke Hathon Ai Dil-e-muztar Kya Hona Hai Kya Hoga is written by Asrar-ul-Haq Majaz. Read famous Poem Shauq Ke Hathon Ai Dil-e-muztar Kya Hona Hai Kya Hoga for youth and Student by Asrar-ul-Haq Majaz. Free Download Shauq Ke Hathon Ai Dil-e-muztar Kya Hona Hai Kya Hoga in PDF.