Sazgar Hai Hamdam In Dinon Jahan Apna
sazgar hai hamdam in dinon jahan apna
ishq shadman apna shauq kaamran apna
aah be-asar kis ki nala na-rasa kis ka
kaam bar-ha aaya jazba-e-nihan apna
kab kiya tha is dil par husn ne karam itna
mehrban aur is darja kab tha aasman apna
uljhanon se ghabrae mai-kade mein dar aae
kis qadar tan-asan hai zauq-e-raegan apna
kuchh na puchh ai hamdam in dinon mera aalam
mutrib-e-hasin apna saqi-e-jawan apna
ishq aur ruswai kaun si nai shai hai
ishq to azal se tha ruswa-e-jahan apna
tum 'majaz' diwane maslahat se begane
warna hum bana lete tum ko raaz-dan apna
(951) Peoples Rate This