Rah-e-shauq Se Ab HaTa Chahta Hun
rah-e-shauq se ab haTa chahta hun
kashish husn ki dekhna chahta hun
koi dil sa dard-ashna chahta hun
rah-e-ishq mein rahnuma chahta hun
tujhi se tujhe chhinna chahta hun
ye kya chahta hun ye kya chahta hun
KHataon pe jo mujh ko mail kare phir
saza aur aisi saza chahta hun
wo maKHmur nazren wo madhosh aankhen
KHarab-e-mohabbat hua chahta hun
wo aankhen jhukin wo koi muskuraya
payam-e-mohabbat suna chahta hun
tujhe DhunDhta hun teri justuju hai
maza hai ki KHud gum hua chahta hun
ye maujon ki be-tabiyan kaun dekhe
main sahil se ab lauTna chahta hun
kahan ka karam aur kaisi inayat
'majaz' ab jafa hi jafa chahta hun
(917) Peoples Rate This