Nigah-e-lutf Mat UTh KHugar-e-alam Rahne De
nigah-e-lutf mat uTh KHugar-e-alam rahne de
hamein nakaam rahna hai hamein nakaam rahne de
kisi masum par be-dad ka ilzam kya mani
ye wahshat-KHez baaten ishq-e-bad-anjam rahne de
abhi rahne de dil mein shauq-e-shorida ke hangame
abhi sar mein mohabbat ka junun-e-KHam rahne de
abhi rahne de kuchh din lutf-e-naghma masti-e-sahba
abhi ye saz rahne de abhi ye jam rahne de
kahan tak husn bhi aaKHir kare pas-e-rawa-dari
agar ye ishq KHud hi farq-e-KHas-o-am rahne de
ba-in rindi 'majaz' ek shaer-e-mazdur-o-dahqan hai
agar shahron mein wo bad-nam hai bad-nam rahne de
(1006) Peoples Rate This