FaKHr-e-jahilan

ek roz main ne apni muannas se ye kaha

begam mushaere ko main aaya hun luT kar

boli ki mal luT ka jaldi se dijiye

taki use pakaun abhi pis kuT kar

biwi ki kor-magzi pe bola bigaD ke main

ai ahmaqullazi tu na shaer ko huT kar

to faKHr-e-jahilan hai tujhe kya bataun main

dad-e-suKHan sabhi ne mujhe di hai chhuT kar

boli wo sar ko piT ke aaankhon ko kar ke lal

bijli gire ghazab ki tere sar pe TuT kar

faqe paDe hain ghar mein tujhe faKHr-e-dad hai

aur itna kah ke rone lagi phuT phuT kar

(765) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

FaKHr-e-jahilan In English By Famous Poet Asrar Jaamayee. FaKHr-e-jahilan is written by Asrar Jaamayee. Read famous Poem FaKHr-e-jahilan for youth and Student by Asrar Jaamayee. Free Download FaKHr-e-jahilan in PDF.