Bijli Hui Fel
lo waqt hua raat ka aur aah nadarad
bijli abhi aai thi abhi wah nadarad
is tirgi mein hosh hai wallah nadarad
'asrar' andhere mein jo hai jhelna wo jhel
bijli hui phir roz-e-guzishta ki tarah fel
ghaeb hui bijli to hui fikr ki lo tez
logon ne usi waqt kya tanz ko mahmez
tum lakh karo apni tabiat ko suKHan-KHez
mumkin nahin us waqt taKHayyul ki munDhe bel
bijli hui phir roz-e-guzishta ki tarah fel
hamdam ne kaha aaj andhere mein hi khao
kuchh kiDe-makoDon ko bhi salan mein milao
be-KHarch maza murgh musallam ka uDao
ye lutf-o-karam jaan pe KHud apni gaya jhel
bijli hui phir roz-e-guzishta ki tarah fel
jab mom ki batti na hi Dhabri nazar aai
ek puri kitab ek nai copy hi jalai
tab ilm ki daulat se zara raushni pai
das bis kitabon ko jalaya ki na tha tel
bijli hui phir roz-e-guzishta ki tarah fel
ham-surat-e-mashuq-e-tarah-dar hai bijli
'asrar' ke ghar mein bhi pur-asrar hai bijli
har roz sar-e-sham hi bimar hai bijli
chalte hue yak-bargi ruk jati hai ye rail

bijli ke chale jaane se Takra gae kuchh log
cup chae ka sherwani pe chhalka gae kuchh log
tariki mein jeb apni katarwa gae kuchh log
har roz mere shahr mein hota hai yahi khel
bijli hui phir roz-e-guzishta ki tarah fel
ab pas ke hotel mein bhi jaana nahin mumkin
ahbab se gap ja ke laDana nahin mumkin
had ye hai kalam apna sunana nahin mumkin
bijli ke chale jaane se ab ghar bhi bana jail
bijli hui phir roz-e-guzishta ki tarah fel
(1278) Peoples Rate This