Wasl Ki Jo KHwahish Hai

ye bahut rulati hai raat-bhar jagati hai

chain lene deti hai aur na rone deti hai

yun to ek muddat se

tum se hum hain begana

sath chalte rahne ka na to koi wada hai

phir bhi dil mein jaane kyun ek KHalish si rahti hai

dil mein ye KHayal aksar aa ke Thahar jata hai

sath sath chalte hum zindagi ke raston par

har safar hansi hota tum jo mere sath hote

lekin ai mere rahbar

ab to KHauf us ka hai KHwab mein jo aae tum

aur be-KHayali mein nam jo liya hum ne

sab hi chaunk jaenge mustaqil sawalon se

la-jawab kar denge

is liye mere jaana

wasl ki jo KHwahish hai

is ko bhul jati hun

aur tumhaari yaadon se

ab widaa leti hun

(1837) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wasl Ki Jo KHwahish Hai In English By Famous Poet Asra Rizvi. Wasl Ki Jo KHwahish Hai is written by Asra Rizvi. Read famous Poem Wasl Ki Jo KHwahish Hai for youth and Student by Asra Rizvi. Free Download Wasl Ki Jo KHwahish Hai in PDF.