KHwab Ek Jazira Hai

jis ke chaaron-samt ab tak

paniyon ka rela hai

aisa sard pani ki

jis mein koi utre to

ruh sard paD jae

kanp jae sara tan

kaun ye samajhta hai

KHwab kitne ziddi hain

gol gol lahron mein

Dub kar ubharne ka

hausla sameTe ye

aise kud paDte hain

jaise koi muddat se

pyas mein taDapta ho

aur samne us ke

sirf ek kuza ho

jis mein chand qatre hon

sun lo aankh ka qissa

qarz apne KHwabon ka kis tarah chukati hai

mauj ke thapeDon se reza reza hoti hai

lamha lamha jalti hai TuT kar barasti hai

surKH surKH Doron mein sab thakan sameTe ye

KHwab kab samajhte hain aankh ki taDap kya hai

kitne dard palkon par yun uThae phirti hai

gahre is samundar mein kaise kaise tufan hain

toDte hain kya kya kuchh shor kaise karte hain

KHwab ek jazira hai wo kahan samajhta hai

us ki ek KHwahish par aankh kitna roti hai

aankh kitna roti hai

(1611) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwab Ek Jazira Hai In English By Famous Poet Asra Rizvi. KHwab Ek Jazira Hai is written by Asra Rizvi. Read famous Poem KHwab Ek Jazira Hai for youth and Student by Asra Rizvi. Free Download KHwab Ek Jazira Hai in PDF.