Phir Koi Taza-sitam Wo Sitam-ijad Kare
phir koi taza-sitam wo sitam-ijad kare
kash is karb-e-taghaful se ab aazad kare
kahin banjar hi na ho jae mere dil ki zamin
lala-e-zaKHm se is kisht ko aabaad kare
jaanta tha ke har aawaz palaT aaegi
phir tawatur se dua kyun dil-e-nashad kare
apne lahje ki hi saKHti ko tasawwur kar ke
lauT aane ki shab-e-hijr mein fariyaad kare
gam-dar-gam badalta hai chalan zalim ka
jaane is bar nai kaun si bedad kare
us se kah de koi KHamosh hai saz-e-hasti
chheD kar wasl ka naghma mera dil shad kare
log anjam ki dahshat se nikal aae hain
ab jo kar pae to is shahr ko barbaad kare
(1315) Peoples Rate This