Main Sach To Kah Dun Par Usko Kahin Bura Na Lage

main sach to kah dun par us ko kahin bura na lage

mere KHayal ki yarab use hawa na lage

ajib tarz se ab ke nibhaya ulfat ko

wafa jo ki hai to is tarah ki wafa na lage

darun-e-zat basa hai jahan yaadon ka

wo dur rah ke bhi mujh ko kabhi juda na lage

kabhi to kahta tha har lamha tere sath hun main

ab aise bachhDa ke us ka kahin pata na lage

tabib tum ko bhulane ka kar raha hai ilaj

maraz hua hai purana koi dawa na lage

tumhaare waste jab jab baDhaya dast-e-talab

ajib baat hai is dam dua dua na lage

uThe nazar se na us ki fusun-e-parda-e-husn

KHata bhi tujh se agar ho use KHata na lage

ye tera tarz-e-bayan mashriqon sa hai 'asra'

wo din na aae ke tujh ko KHuda KHuda na lage

(1901) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Sach To Kah Dun Par Usko Kahin Bura Na Lage In English By Famous Poet Asra Rizvi. Main Sach To Kah Dun Par Usko Kahin Bura Na Lage is written by Asra Rizvi. Read famous Poem Main Sach To Kah Dun Par Usko Kahin Bura Na Lage for youth and Student by Asra Rizvi. Free Download Main Sach To Kah Dun Par Usko Kahin Bura Na Lage in PDF.