Adawaton Ka Ye Usko Sila Diya Humne
adawaton ka ye us ko sila diya hum ne
ana ko us ki hamin mein Duba diya hum ne
malal-o-huzn se ho kar guzarti rahon ko
yaqin-o-shauq se paiham mila diya hum ne
misal ban gai mahbub aur habib ki zat
ye aaina sar-e-alam dikha diya hum ne
tamam jabr-o-tashaddud ki had bhi KHatm hui
ki jab se sabr ko mehwar bana diya hum ne
kisi KHayal ka aana muhaal hai ab to
tasawwuraat ka KHema jala diya hum ne
abhi bhi ungli uThane ki rasm baqi hai
har ek sabab ko agarche miTa diya hum ne
ab aur gharq-e-tajassus na ho meri KHatir
tumhein to faisla apna suna diya hum ne
ye lazmi hai ki 'asra' bhula diya jae
jo raaz dil ki zamin mein daba diya hum ne
(1351) Peoples Rate This