Suno Na Jaanan
ye log mujh ko bata rahe hain
hamari aankhen bahut hain raushan
ye barq jaisi chamak rahin hain
ki jugnun ki taDap ruki ho
hai be-qarari ghazal jaisi
KHumar ki si hai kaifiyat bhi
dhanak ke jitne bhi rang honge
hamari aankhon mein bas gae hain
magar ai jaanan
unhen bataun main kis tarah se
ye jagmagati ye jhilmilati si meri aankhen
KHumar se pur ghazal jaisi
tumhaare KHwabon ke rang le kar
amin hain kitne rat-jagon ki
ye surKH aankhen
talash mein jo bhaTak rahi hain
shuaen rangon ki chhaT rahi hai
suno na jaanan
ye log mujh ko bata rahe hain
ki meri aankhen bahut hai raushan
(4858) Peoples Rate This