Phulon Se Saja Ek Sej Dikha

chamkila sa bhaDkila sa

atraf mein jis ke janta thi

stage pe kuchh sajan the khaDe

kuchh jhanDe the kuchh nare the

kuchh lambi lambi baaten thin

kuchh bhaari bhaari wade the

un baaton ka un wadon ka

bas hum se itna rishta hai

ke wote unhen hum den den sab

sarkar unhin ki chun len hum

raj unhin ka chalne den

har samt unhin ka jhanDa ho

adhikar unhin ka chalta ho

jab janta un ko chunti hai

aur un ke haq mein laDti hai

tab rashtra un ka badla hai

un lambi lambi baaton ka

un bhaari bhaari wadon ka

unwan hua kuchh aise hai

ewm bhi mera hai

sab neta nagri meri hai

ab koi nahin kuchh bolega

aur koi nahin munh kholega

(5970) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Phulon Se Saja Ek Sej Dikha In English By Famous Poet Asra Rizvi. Phulon Se Saja Ek Sej Dikha is written by Asra Rizvi. Read famous Poem Phulon Se Saja Ek Sej Dikha for youth and Student by Asra Rizvi. Free Download Phulon Se Saja Ek Sej Dikha in PDF.