Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_03763e731305b9d519a31d0bc9f08c52, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mere Qadmon Mein Duniya Ke KHazane Hain UTha Lun Kya - Aslam Rashid Poetry In English - Darsaal

Mere Qadmon Mein Duniya Ke KHazane Hain UTha Lun Kya

mere qadmon mein duniya ke KHazane hain uTha lun kya

zamana gir chuka jitna main KHud ko bhi gira lun kya

tera chehra banane ki jasarat kar raha hun main

lahu aankhon se utra hai to rangon mein mila lun kya

suna hai aaj basti se musafir ban ke guzroge

agar niklo idhar se to main apna ghar saja lun kya

bhara ho dil hasad se to nazar kuchh bhi nahin aata

main nafrat mein adawat mein mohabbat ko mila lun kya

ki barson se to gin gin kar main in ko KHarch karta hun

abhi bhi chand sansen hain teri KHatir bacha lun kya

(734) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Qadmon Mein Duniya Ke KHazane Hain UTha Lun Kya In English By Famous Poet Aslam Rashid. Mere Qadmon Mein Duniya Ke KHazane Hain UTha Lun Kya is written by Aslam Rashid. Read famous Poem Mere Qadmon Mein Duniya Ke KHazane Hain UTha Lun Kya for youth and Student by Aslam Rashid. Free Download Mere Qadmon Mein Duniya Ke KHazane Hain UTha Lun Kya in PDF.