Tu Apne Shahr-e-tarab Se Na Puchh Haal Mera
tu apne shahr-e-tarab se na puchh haal mera
mujhe aziz hai ye kucha-e-malal mera
abhi to hona hai ek raqs-e-be-misal mera
diye ki lau se abhi dekhna visal mera
wo dard hun koi chaara nahin hai jis ka kahin
wo zaKHm hun ki hai dushwar indimal mera
to kya ye waqt yunhi raundta rahega mujhe
Daraata rahta hai mujh ko yahi sawal mera
jawaz rakhta hun main apne zinda hone ka
ki ek KHwab se hai silsila bahaal mera
hawa ki dosti achchhi na dushmani achchhi
charagh pahle na tha ab hai ham-KHayal mera
main aks ban ke isi se ubharna chahta hun
so mere aaina-gar aaina ujal mera
lahu ki nazr hua ek ek KHwab-e-numu
hawa ke sath gaya KHema-e-KHayal mera
kabhi main shoala tha ab sirf rakh hun 'aslam'
halak kar ke raha mujh ko ishtial mera
(864) Peoples Rate This