Sarab-e-mani-o-mafhum Mein BhaTakte Hain
sarab-e-mani-o-mafhum mein bhaTakte hain
kuchh aise lafz jo shayad azal se pyase hain
samaaton ko abhi yun hi muntazir rakhna
pas-e-ghubar-e-KHamoshi hazar naghme hain
andhere kitne hi saffak hon ki zalim hon
magar charagh ki nannhi si lau se Darte hain
ye kis KHayal ki lau se lipaT rahi hai hawa
ye kis ki yaad ke sae se thartharaate hain
yahi nahin ki kisi yaad ne malul kiya
kabhi kabhi to yunhi be-sabab bhi roe hain
bikhar ke bhi to hamein aaina hi rahna hai
harif-e-sang kahin TuTne se Darte hain
safar the panw mein 'aslam' to manzilen sar mein
magar ab apni hi parchhaiyon se lipTe hain
(1024) Peoples Rate This