Safar Se Pahle Sarabon Ka Silsila Rakh Aae

safar se pahle sarabon ka silsila rakh aae

har ek moD pe aashob ek naya rakh aae

kahan bhaTakti phiregi andheri galiyon mein

hum ek charagh sar-e-kucha-e-hawa rakh aae

tamam umr safar se gharaz rahi hum ko

har iKHtitam pe hum ek ibtida rakh aae

bhaTak na jae musafir koi hamare baad

so rah-e-shauq mein hum apne naqsh-e-pa rakh aae

ye be-samaat o be-chehra basarat log

ye pattharon mein kahan aap aaina rakh aae

(717) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Safar Se Pahle Sarabon Ka Silsila Rakh Aae In English By Famous Poet Aslam Mahmood. Safar Se Pahle Sarabon Ka Silsila Rakh Aae is written by Aslam Mahmood. Read famous Poem Safar Se Pahle Sarabon Ka Silsila Rakh Aae for youth and Student by Aslam Mahmood. Free Download Safar Se Pahle Sarabon Ka Silsila Rakh Aae in PDF.