Rang Sare Apne Andar Raftagan Ke Hain
rang sare apne andar raftagan ke hain
hum ki barg-e-raegan naKHl-e-ziyan ke hain
shisha-e-umr-e-rawan se KHauf aata hai
aks is mein saat-e-kam-mehrban ke hain
hum ko kya la-hasili hi ishq mein gar hai
hum to KHugar yun bhi kar-e-raegan ke hain
tere kuche ki hawa puchhe hai ab hum se
nam kya hai kya nasab hai hum kahan ke hain
hum ko kya arz o sama ke sab KHazanon se
hum to aashiq ek ism-e-jawedan ke hain
mere partaw ne tilism-e-tirgi toDa
aur ab raushan manazir KHak-dan ke hain
hum ko kya mauj-e-fana se KHauf aaega
muntazir hum KHud zawal-e-rang-e-jaan ke hain
imtihan ye saKHtiyan ye gardishen 'aslam'
sab ishaare ek chashm-e-mehrban ke hain
(997) Peoples Rate This